Wednesday 6 April 2016

Script for Sangeet Sandhya....



Below given is Script for Sangeet Sandhya (Musical Evening celebrated just before Marriage Day)...




eṣa te ’haṁ vidhāsyāmi
priyaṁ bhīru yad icchasi 
tasyāḥ kāmaṁ na kaḥ kuryāt
siddhis traivargikī yataḥ
.....


Jai Shree Krishna....Namasakar....Good Evening....
Welcome...to  Sangeet Sandhya... of ****** and ******.....
Aaj ki ish Khoobsurat Sangeet Bhari Sham me Aap Sabhi Ka Hardik Swagat Hai....
Before starting the prog, let me introduce myself first...
Mein P *****(Dulhe) Ka Bhai.. and standing near me is my Beautiful Sali..R...
(R -Jai Shree Krishna...Hello Everyone.....
We both welcome you all on behalf of ***** & ***** Family...)
To Aayiye Vignharta Gangesh ji ko yaad Karke aaj ke Prog ki Shuruaat karte hai..
Pl welcome ****** for Ganesh Vandana......[Performance No 1 ]
(R- Very Nice Performance...Aree Jiju ..Wo Sanskrit Shlok Jo Apne Start Me Bola, Uska Meaning to Batao)
Aree..Ha... Wo Shlok Srimad-Bhagavatam  yani Bhagavata Purana Ka hai Jiska meaning kuch Ish tarah hai..
Vo Vyakti Kismat Wala Hai Jise Acchi Patni Milti Hai Kyonki Ek Patni Sacche Dost K Rup Me Vyakti Ko Perfect Life Jine Me Madad Karti Hai
(R -Wao..Bhagwat Puran Me Patni K Bare Me Kitni Acchi Baat Likhi Hai..I can’t believe..Aur Shalok Bataon Na...Me Roj D (her husband) Ko Sunaogi..Wo Aajkal Bigar Se Gaye Hai...)
To Suno..Ek Aur Shlok Ka Meaning-
Ek Vyakti Jo Patni K Sath Rahta Hai Wo Har Prakar Ki Musibaton Ko Jhel Sakta Hai
Aree D (her husband) Kuch Bol Raha Hai..(P Goes to him) ...Ha D...Kya Bol Rahe Ho....
(R -Jiju, Kya Bola D Ne...)
D Bola ki Kitna sahi likha hai Bhagwat Puran Me..Shadi K Bad To Har Musibat Chhoti Hi Dikyai Degi Na.... Kyon Ki...Wife khud sabse badi..Musibat....Ab Tum Samaj Gayi Na....
(R –D??...Ghar Chalo...  Batati Hu .......)
Aree. Yaar...Leave it Na..
Bhagwan ki Vandana K Bad ab bulate hai..Bhagwan k chhote rup ko..yani ..bacchon ko..
Pl welcome ________________.......[Performance No 2  & 3]
(R –Very Dhamakedar Performance By Little Kids.....)
Next performance k liye Ab Aa Rahi Hai.. ___________...... [Performance No 4 & 5]
(R-Ab mein bulana chaungi.......)..... [Performance No 6 & 7]
So R...Teri Shadi Ko Ek Saal Just complete Hua Hai...To Pl tum apne experience share karo taki naye would be couple ko benefit ho..Jaise Tume D K Bare Me Kya Pasand-Napasand Hai...
(R-Unhh..Mujhe Sabse Jayda Pasand Jo Chiz lagi wo......................
Aur Jo Bat Mujhe Achhi Nahi Lagti thi wo.............................................)
Chalo R, Kuch aur wives se unke experience jante hai.......
(P-R goes to 2-3 wives to know Likes-Dislikes about Husband in Initial Years of Marriage)
Next Performance No 8
Next Performance No 9
(R-Jiju, Apki Shadi ko 5 saal ho gaye..Kuch simple Tips aap share karo na....)
Mera simple sa tip/secret hai..Suno..Me Teen Word daily H (wife) Ko Bolta rehta hu..jish se aaj tak koi prob nahi hui..
(R-Aise Kon Se 3 Words Jiju? Kya wo ‘I Love U’ hai??)
P-Nahi..
(R-Accha, to ‘I Miss U’??)
P-Na re...
(R-Off O , to kon se wo 3 Magical Words??)
P-Wo 3 Magical Words hai....Meri Galti Thi.... Ye Teen Words Yadi Koi Husband Sahi Time Pe Use Kar Le..to Vevahik Jeevan ki naiyya aaram se paar hoti jati hai...
(R-Wao Wonderful Secret..Chalo ab kuch aur experienced Husbands se unke Secrets/Tips puchhte hai...)
(P-R goes to 2-3 husbands to know Secrets of Married Life/Tips for Initial Years of Marriage)
Next Performance No 10
Next Performance No 11
Next Performance No 12
Next Performance No 13
Ab apan Couple ko kuch day to day life ki situations dete hai...dekhte hai..wo kaise handle karte hai in situations me...I am sure these replies will be very learning for **** (Bride) & ****(Groom)...
Husbands

i)                    Aaj phir aapne Bed Pe Gila Towel rakh diya and wife ki Najar pad gayi...Ab wife ko kya reply karenge ki hone wali Takrav se bach jayen (Aisi Situation Pati ko kya karna chahiye)
ii)                   Aaj sabji me Namak jyada pada gaya.to bina gussa hue or bina patni ko naraj kiye kya bolna chahiye...
iii)                 Aap Movie dekhne ka mood nahi hai..lekin wife ka hai..Kaise mana karenge
iv)                 Patni ko raat ko der tak tv dekhne ki aadat hai..aur aapko jaldi sona hai...Kya Karenege aisi situation me?
v)                  Anniversary date bhul gaye , kaise handle karenge
vi)                 Market me Aapki patni ke saamne aapki mulakat aapki purani college friend se ho gayi, jiske bare me aapne use bataya hi nahi tha
vii)               Patni ke 5 naam jo aap use pyar se bulate hai
viii)              One song which you would like to dedicate for your wife
ix)                 Solah sringar karne wali 16 articles ke naam jaise lipstic, roose etc.
x)                  Aapki shadi ko kitna saal ho chuka hai , aur ab aap apni patni ko pyar se kya bulate hai... Aur jab aapki nai nai shadi hui thi tab kya bulate the. Please me aapse request karta hu ki aap apni wife ko uske pyar ke naam se bulaye. Ab jab aapki patni aapke saath hai to please unko gulab dekar pyar ka IZHAR kare.
 

Wife

i)                    Pati ko jaldi uthna tha..lekin Pati Jagne ka naam nahi le rahe...Aisi situation me Patni ko kya karna chahiye??
ii)                   Aapke Aaj Khana Banane Ka Mood Nahi Hai..Lekin Pati Apke Hathon Ki Special Dish Khani Hai..Pati Ko Restaurant k liye Kaise Bolengi.. ( Sabji Nahi hai ghar par)
iii)                 Pati se aapko mengsa sa gift chahiye..wo bhi bina koi occasion k...Kaise sambhav karengi... ( Rooth jaayenge ya fir bolenge ki maayka jaana hai)
iv)                 Aapko Dance class/Gym etc join karna hai Pati k sath...Kya aur kaise Samjhaengi Pati Ko?
v)                  Barish ka khushnuma mausm dekh k Pati ko Pakode khane ka man kar raha hai..or apka bahar ghumne ka... ( College life yaad karane ki koshish karke)
vi)                 One song which you would like to dedicate for your husband

vii)               Aapki shadi ko kitna saal ho chuka hai , aur ab aap apne pati ko pyar se kya bulate hai... Aur jab aapki nai nai shadi hui thi tab kya bulate the. Please me aapse request karti hu ki aap apne husband ko uske pyar ke naam se bulaye. Ab jab aapki pati aapke saath hai to please unko gulab dekar pyar ka IZHAR kare.


In between the performances, some couple games can be played to make this special evening more playful & entertaining...

And please keep the Main Attention (Dance of Bride & Groom) in middle of all performances..(neither too early..nor too late)

And before going to end this prog and invite each & everyone to Dance Floor (DJ Remix Song), one Traditional Song with ladies/family couples can also be played.
Enjoy Sangeet Sandhya!
ENJOY NOW!

1 comment:

  1. Hy dr it was pleasant to read.. but i need some more interesting stuffs for my sisters sangeet... pls let me knw na it's on 3rd of July I dnt ve much tym so...

    ReplyDelete